Pages

Facebook Wall Pictures by Manasv Mehta

Sunday

Chalo Mere Saath

In palo mein  saath chalo to baad mein chale jaanaa, Rastaa hai yeh wahi jaanaa pehchanaa.
Meri  saanso ko suroor de jaataa hai, Tera yoon sapano main aanaa aur aake chale jaana.
Mujhpe jatan kiye to lakhon ne, Magar mann ne mere meet tumhi ko maanaa.
Ab to haath thhaam lene do tumhara, Aur kaho na , na na , na na na na.
Hazaro janamo ka hai saath apna, Saanso ka dhadkano se hota hai jaise.
Aas ka jeevan se jaise, Kaise kate saal purane bin radha ke mohan ke jaise.
Jhoot ke parde na dhoondo, Sach kaho na , Kuchh kaho na.
Ek dooje ke liye ham hain, Haathon main kangan ke jaise.
Pyaaso ko sawan ke jaise, Dhoop ko aangan ke jaise, Aur bhakt ko bhagwaan ke jaise.
Jheel si simtee na baitho, Kuchh baho na, Kuchh kaho na.
Main jaanata hoon thak gayee ho tum, Umra ke iss lambe safar se,
Saanp se dansate shahar se, Logo kii aas se aur aansuon se aur bheed ke gahare bhawanar se.
Waqt firta hai suno, Itna daro na, bas ek awaaz to dena, main peechhe hi khada miloonga.

No comments: